dil  mirā  dekh  dekh  jaltā  hai
sham.a  kā  kis  pe  dil  pighaltā  hai
ham-nashīñ  zikr-e-yār  kar  ki  kuchh  aaj
is  hikāyat  se  jī  bahaltā  hai
dil  mizha  tak  pahuñch  chukā  juuñ  ashk
ab  sambhāle  se  kab  sambhaltā  hai
sāqiyā  daur  kyā  kare  hai  tamām
aap  hī  ab  ye  daur  chaltā  hai
apne  āshiq  kī  soḳht  par  pyāre
kabhū  kuchh  dil  tirā  bhī  jaltā  hai
dekh  kaisā  patañg  kī  ḳhātir
shola-e-sham.a  haath  maltā  hai
aaj  'qā.em'  ke  sher  ham  ne  sune
haañ  ik  andāz  to  nikaltā  hai