nāsehā  kar  na  ise  sī  ke  pashemāñ  mujh  ko
kitne  hī  chaak  abhī  karne  haiñ  garebāñ  mujh  ko
vahshat-e-dil  koī  shahroñ  meñ  samā  saktī  hai
kaash  le  jaa.e  junūñ  sū-e-bayābāñ  mujh  ko
ahl-e-masjid  ne  jo  kāfir  mujhe  samjhā  to  kyā
sākin-e-dair  to  jaane  haiñ  musalmāñ  mujh  ko
maiñ  sar-e-mū  nahīñ  juuñ  zulf  kisī  se  shākī
bāda-dastī  ne  kiyā  merī  pareshāñ  mujh  ko
sach  kaho  kis  se  hai  ye  nain  khilāne  kā  shauq
bhejte  ho  jo  pa.e-surma-safāhāñ  mujh  ko
yaañ  talak  ḳhush  huuñ  amārid  se  ki  ai  rabb-e-karīm
kaash  de  huur  ke  badle  bhī  tū  ġhilmāñ  mujh  ko
muft  tak  to  koī  'qā.em'  nahīñ  lene  kā  ye  jins
kah  falak  se  kare  kuchh  aur  bhī  arzāñ  mujh  ko