Qayem Chandpuri

ab ke jo yahan se jaenge hum

Qayem Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1725-1794

ab ke jo yahāñ se jā.eñge ham

phir tujh ko na muñh dikhā.eñge ham

mushkil hai na aanā tujh galī meñ

par ye bhī sahī na ā.eñge ham

jo aage kahā kiye haiñ tujh se

so ab ke vo kar dikhā.eñge ham

aisā jo dil na rah sakegā

Tuk duur se dekh jā.eñge ham

haañ kyuuñ na mileñge tujh se zālim

jab gāliyeñ nit khā.eñge ham

āzurda ho ġhair se laḌo yaañ

is ohde se kab bar ā.eñge ham

jiine se haath uThā.eñge lek

bāteñ na tirī uThā.eñge ham

gar ziist hai tujh talak to phir kyā

sadqe tire mar jā.eñge ham

ab kūche meñ tere pyāre

kisī aur se lagā.eñge ham

juuñ chāhiye chaah sarishta

jiite haiñ to kar dikhā.eñge ham

is par bhī agar mileñge ḳhair

'qā.em' na phir kahā.eñge ham

Top Urdushayar.com