maiñ  kaun  huuñ  kyā  huuñ  maiñ  yahī  soch  rahā  huuñ
sūrat  meñ  muqayyad  huuñ  magar  bikhrā  huā  huuñ
tā-hadd-e-nazar  mere  sivā  koī  nahīñ  hai
maiñ  jaise  kisī  dard  ke  sahrā  meñ  khaḌā  huuñ
ye  baat  mirī  soch  se  bāhar  hai  abhī  tak
maiñ  koh  thā  phir  kaise  samundar  meñ  bahā  huuñ
ye  sach  hai  kisī  kā  huuñ  maiñ  matlūb  na  tālib
hairāñ  huuñ  ki  kis  vāste  duniyā  meñ  jiyā  huuñ
be-bas  huuñ  maiñ  ai  mujh  se  ziyā  māñgne  vaalo
maiñ  diip  thā  jalne  se  magar  pahle  bujhā  huuñ
'premī'  mujhe  is  baat  kā  ḳhud  ilm  nahīñ  hai
vo  kaun  hai  maiñ  jis  ke  ḳhayāloñ  meñ  ghirā  huuñ