vo  sar-e-bām  kab  nahīñ  aatā
jab  maiñ  hotā  huuñ  tab  nahīñ  aatā
bahr-e-taskīñ  vo  kab  nahīñ  aatā
e'tibār  aah  ab  nahīñ  aatā
chup  hai  shikvoñ  kī  ek  band  kitāb
us  se  kahne  kā  Dhab  nahīñ  aatā
un  ke  aage  bhī  dil  ko  chain  nahīñ
be-adab  ko  adab  nahīñ  aatā
zaḳhm  se  kam  nahīñ  hai  us  kī  hañsī
jis  ko  ronā  bhī  ab  nahīñ  aatā
muñh  ko  aa  jaatā  hai  jigar  ġham  se
aur  gila  tā-ba-lab  nahīñ  aatā
bholī  bātoñ  pe  terī  dil  ko  yaqīñ
pahle  aatā  thā  ab  nahīñ  aatā
dukh  vo  detā  hai  us  pe  hai  ye  haal
lene  jaatā  huuñ  jab  nahīñ  aatā
'ārzū'  be-asar  mohabbat  chhoḌ
kyuuñ  kare  kaam  jab  nahīñ  aatā