haañ  diid  kā  iqrār  agar  ho  to  abhī  ho
aur  yuuñ  ho  ki  dīdār  agar  ho  to  abhī  ho
taqdīr  se  Dartā  huuñ  ki  phir  mat  na  palaT  jaa.e
tum  dil  ke  ḳharīdār  agar  ho  to  abhī  ho
dīdār  ko  kal  kah  ke  qayāmat  pe  vo  Tāleñ
aur  shauq  kā  isrār  agar  ho  to  abhī  ho
badlā  huā  har  ahd  nayā  laatā  hai  paiġhām
ye  kyā  ki  har  iqrār  agar  ho  to  abhī  ho
aa  lene  to  do  'ārzū'  āzār  meñ  lazzat
tum  naam  se  bezār  agar  ho  to  abhī  ho