ayaañ  hai  be-ruḳhī  chitvan  se  aur  ġhussa  nigāhoñ  se
payām-e-ḳhāmushī  aur  vo  bhī  do  do  nashr-gāhoñ  se
vabāl-e-jāñ  hai  aisī  zindagī  jis  meñ  talātum  ho
miTā  luuñ  hausle  phir  tauba  kar  lūñgā  gunāhoñ  se
fazā  mahdūd  kab  hai  ai  dil-e-vahshī  falak  kaisā
nilāhaT  hai  nazar  kī  dekhte  haiñ  jo  nigāhoñ  se
haqīqat  meñ  nigāhoñ  se  koī  manzil  nahīñ  bachtī
guzarte  dekhe  haiñ  gosha-nashīñ  tak  shāh-rāhoñ  se
tahī-dastān-e-qismat  ko  na  lenā  thā  na  denā  thā
hisāb-e-zindagī  kyā  hai  ye  pūchho  bādshāhoñ  se
hameñ  to  jalte  dil  kī  raushnī  meñ  aage  baḌhnā  hai
haTā  do  qumqume  bijlī  ke  nā-hamvār  rāhoñ  se
mire  nāloñ  ke  sab  shākī  koī  un  ko  nahīñ  kahtā
khurachte  rahte  haiñ  jo  zaḳhm-e-dil  ḳhūnī  nigāhoñ  se
pilā  do  zahr-e-ġham  dil  ko  na  chhoḌe  gar  havas-kārī
gunah  vo  ek  achchhā  jo  bachā  le  sau  gunāhoñ  se
hamīñ  kuchh  'ārzū'  pher  un  kī  bātoñ  kā  samajhte  haiñ
jo  haq-poshī  meñ  sach  ko  jhuuT  karte  haiñ  gavāhoñ  se