tumheñ  kyā  kaam  nāloñ  se  tumheñ  kyā  kaam  aahoñ  se
chhupāyā  ho  gunāh-e-ishq  to  pūchho  gavāhoñ  se
maiñ  kajkol-e-dil-e-be-mudda.ā  le  kar  kahāñ  jā.ūñ
ye  paiġhām-e-talab  kyuuñ  ūñchī  ūñchī  bārgāhoñ  se
zabāñ  ho  ek  ulfat  kī  to  mumkin  hai  zabāñ-bandī
hui  jo  baat  chupke  kī  vo  kah  Daalī  nigāhoñ  se
mohabbat  andar  andar  ziist  kā  naqsha  palaTtī  hai
yahī  chaltī  hui  sāñseñ  badal  jā.eñgī  aahoñ  se
sanad  be-ai.tmādi  kī  hai  qabl-e-imtihāñ  goyā
bayān-e-hāl  kai  pahle  halaf  lenā  gavāhoñ  se
mohabbat  nek-o-bad  ko  sochne  de  ġhair  mumkin  hai
baḌhī  jab  be-ḳhudī  phir  kaun  Dartā  hai  gunāhoñ  se
hue  jab  aap  se  bāhar  phir  ehsās-e-duī  kaisā
pata  manzil  kā  miltā  hai  inhīñ  gum-karda  rāhoñ  se
batā  saktī  nahīñ  roīdgī-e-sabza-o-gul  bhī
faqīroñ  se  paTe  the  ye  gaḌhe  yā  bādshāhoñ  se
chhalakte  zarf  kā  khultā  bharam  khotā  hai  baat  apnī
sukūñ  paatā  hai  dil  kā  dard  nāloñ  se  na  aahoñ  se
ye  pahle  soch  leñ  ā.ankhoñ  meñ  lahrāte  hue  aañsū
ki  vo  phir  uTh  bhī  sakte  haiñ  jo  gir  jaa.eñ  nigāhoñ  se
milā  baiThā  hai  sab  meñ  kuchh  magar  muñh  se  nahīñ  kahtā
alag  samho  tum  apne  'ārzū'  ko  dād-ḳhvāhoñ  se