baġhaur  dekh  rahā  hai  adā-shanās  mujhe
bas  ab  zalīl  na  kar  ai  nigāh-e-yās  mujhe
ye  dil  hai  shauq  meñ  be-ḳhud  vo  aañkh  nashshe  meñ  chuur
jhukā  na  de  su-e-sāġhar  bhaḌaktī  pyaas  mujhe
udhar  malāmat-e-duniyā  idhar  malāmat-e-nafs
baḌā  azaab  hai  aa.e  hue  havās  mujhe
palaT  do  baat  na  lo  muñh  se  naam  ruḳhsat  kā
abhī  se  ghar  nazar  aane  lagā  udaas  mujhe
jo  multafit  haiñ  ye  nazreñ  badal  bhī  saktī  haiñ
banā  chukā  hai  zamāna  adā-shanās  mujhe