ai  jazb-e-mohabbat  tū  hī  batā  kyūñkar  na  asar  le  dil  hī  to  hai
sīdhī  bhī  chhurī  TeḌhī  bhī  chhurī  dil-doz  nazar  qātil  hī  to  hai
jab  huuk  uThegī  taḌpegā  insāf  na  chhoḌo  dil  hī  to  hai
nā-chand  thakan  kā  sabr-o-sukūñ  bismil  āḳhir  bismil  hī  to  hai
tūfān-e-balā  kī  maujoñ  meñ  kiiñ  band  āñkheñ  aur  phāñd  paḌe
kashtī  ne  jahāñ  Takkar  khaa.ī  dil  bol  uThā  sāhil  hī  to  hai
hai  zarf  yahāñ  kis  kā  kitnā  dil  bas  hai  usī  kā  paimāna
ronā  bhī  burā  hañsnā  bhī  burā  jo  baat  hai  vo  mushkil  hī  to  hai
nā-ḳhush  hai  to  kyā  hai  ḳhush  hai  to  kyā  jaisā  bhī  sahī  hai  tū  apnā
ye  saath  nahīñ  chhuTne  vaalā  be-kas  kā  sahārā  dil  hī  to  hai
haiñ  maut  ke  is  jiine  meñ  maze  ġham  jis  ko  na  ho  vo  kyā  samjhe
jab  sābit  karte  ban  na  paḌe  jo  da.avā  hai  bātil  hī  to  hai
thī  ḳhizr-e-tarīq  uftād  yahāñ  aur  sañg-e-havādis  sañg-e-nishāñ
had  rāh-e-talab  kī  aa  ga.ī  haañ  jaatā  hai  kahāñ  manzil  hī  to  hai
dukh  de  ke  ulTe  denā  kyā  fariyād  natīja  hai  ġham  kā
jab  Thes  lagī  shīsha  Thankā  patthar  na  samajhiye  dil  hī  to  hai
aap  'ārzū'  ab  ḳhāmosh  raheñ  kuchh  achchhī  burī  khul  kar  na  kaheñ
haiñ  jitne  muñh  itnī  bāteñ  mahfil  āḳhir  mahfil  hī  to  hai