taqdīr  pe  shākir  rah  kar  bhī  ye  kaun  kahe  tadbīr  na  kar
vā  bāb-e-ijābat  ho  ki  na  ho  zanjīr  hilā  tāḳhīr  na  kar
ġham  baḌhne  de  ai  dil  aur  zarā  jāñch  aah  kī  be-tāsīr  na  kar
hai  ḳhvāb  adhūrā  aap  abhī  be-samjhe  ġhalat  ta.abīr  na  kar
jab  zulm  kā  badla  zulm  huā  mazlūm  kā  haq  kuchh  bhī  na  rahā
de  dard  hī  meñ  lazzat  yārab  naale  ko  atā  tāsīr  na  kar
ho  laakh  kamān  kaḌī  qātil  kuchh  jazb  nishāne  meñ  bhī  hai
baazū  ke  bal  pe  nazar  kar  ke  andāza-e-zaḳhm-e-tīr  na  kar
ab  tak  jo  nigāheñ  sīdhī  haiñ  mumkin  hai  kal  ye  palaT  jaa.eñ
jo  karnā  ho  kare  aise  meñ  kis  soch  meñ  hai  tāḳhīr  na  kar
paimān-e-mohabbat  ḳhatm  huā  ab  zikr  se  us  ke  fā.eda  kyā
muñh  bikhrī  kaḌiyoñ  ke  na  milā  tayyār  na.ī  zanjīr  na  kar
ulfat  ke  ahd-e-mohkam  meñ  buude  kāġhaz  kī  zamānat  kyā
ye  dil  se  dil  kī  bāteñ  haiñ  rakh  yaad  faqat  tahrīr  na  kar
har  dil  hai  hayāt  kā  sarmāya  har  dil  meñ  josh  mohabbat  kā
tū  'ārzū'  aur  kahegā  kyā  bas  rahne  bhī  de  taqrīr  na  kar