mīr-e-mahfil  na  hue  garmī-e-mahfil  to  hue
sham.a-e-tābāñ  na  sahī  jaltā  huā  dil  to  hue
na  sahī  ḳhaak  ke  putloñ  meñ  sifāt-e-malakī
baare  is  bār-e-vafā  ke  mutahammil  to  hue
hausle  dil  ke  mohabbat  meñ  jo  piste  hī  rahe
kar  ke  himmat  tire  ġhamzoñ  ke  muqābil  to  hue
purshis-e-ġham-zadagāñ  bahr-e-tafannun  hī  sahī
ḳhair  se  aap  bhī  is  bazm  meñ  shāmil  to  hue
be-asar  aah  se  bhī  itnī  tasallī  hai  zarūr
muñh  takā  karte  the  jo  vo  kisī  qābil  to  hue
aan  rakh  lī  tirī  shamshīr-e-adā  kī  yuuñ  bhī
jin  ko  marnā  nahīñ  aatā  thā  vo  bismil  to  hue
sanad-e-sabr  sahī  paak  diloñ  ke  nāsūr
aise  maqtūl  bhī  ik  tarah  ke  qātil  to  hue
rashk-e-dushman  kī  talāfī  ko  ye  pahlū  nahīñ  kam
ġham-e-jāñ-kāh-e-mohabbat  ke  vo  qātil  to  hue
ḳhud  se  dukh  mol  leñ  ye  kaam  kuchh  āsān  na  thā
khā  ke  ik  choT  maze  dard  ke  hāsil  to  hue
ḳhud-kushī  meñ  to  ḳhalal  'ārzū'  aayā  lekin
haath  un  ke  mirī  gardan  meñ  hamā.il  to  hue