mujh  ko  dil  qismat  ne  us  ko  husn-e-ġhārat-gar  diyā
chuur  kar  de  kyuuñ  na  vo  shīsha  jise  patthar  diyā
us  se  tālib  huuñ  diyat  kā  aap  se  matlab  nahīñ
jis  ne  gardan  ek  ko  dī  ek  ko  ḳhanjar  diyā
thā  mukāfāt-e-amal  ahbāb  kā  husn-e-amal
ye  bhī  aisā  qarz  thā  jo  aur  se  le  kar  diyā
ab  na  hai  fikr-e-hifāzat  aur  na  zīq-e-raf-e-kār
dene  vaale  ne  diyā  aur  merī  ḳhvāhish  bhar  diyā
girya-e-be-iḳhtiyār-e-ġham  bhī  thā  fitrī  ilaaj
jis  ne  thoḌe  josh  ko  har  martaba  kam  kar  diyā
jis  meñ  kaif-e-ġham  nahīñ  baaz  aa.e  aise  dil  se  ham
ye  bhī  duniyā  hai  koī  mai  to  na  dī  sāġhar  diyā
'ārzū'  ik  roz  Dhā  detā  mujhe  merā  hī  zor
ye  bhī  us  kī  kārsāzī  dil  meñ  jis  ne  Dar  diyā