bhole  ban  kar  haal  na  pūchho  bahte  haiñ  ashk  to  bahne  do
jis  se  baḌhe  bechainī  dil  kī  aisī  tasallī  rahne  do
rasmeñ  is  andher-nagrī  kī  na.ī  nahīñ  ye  purānī  haiñ
mehr  pe  Daalo  raat  kā  parda  maah  ko  raushan  rahne  do
ruuh  nikal  kar  bāġh-e-jahāñ  se  bāġh-e-jināñ  meñ  jā  pahuñche
chehre  pe  apne  merī  nigāheñ  itnī  der  to  rahne  do
ḳhanda-e-gul  bulbul  meñ  hogā  gul  meñ  naġhma  bulbul  kā
qissa  ek  zabāneñ  do  haiñ  aap  kaho  yā  kahne  do
itnā  junūn-e-shauq  diyā  kyuuñ  ḳhauf  jo  thā  rusvā.ī  kā
baat  karo  ḳhud  qābil-e-shikva  ulTe  mujh  ko  rahne  do