ai  mire  zaḳhm-e-dil-navāz  ġham  ko  ḳhushī  banā.e  jā
ā.ankhoñ  se  ḳhuuñ  bahā.e  jā  hoñToñ  se  muskurā.e  jā
jaane  se  pahle  bevafā  shab  ko  sahar  banā.e  jā
dil  ko  bujhā  ke  kyā  chalā  sham.a  ko  bhī  bujhā.e  jā
saañs  kā  taar  TuuT  jaa.e  TuuTe  na  taar  aah  kā
ek  hī  lai  pe  gaa.e  jā  ek  hī  dhun  bajā.e  jā
hukm-e-talab  ke  muntazir  shauq  kī  aabrū  na  kho
sar  ko  qadam  banā  ke  chal  ā.ankhoñ  se  be-bulā.e  jā
le  vo  davā-e-talḳh  hai  jis  kā  asar  hai  ḳhush-gavār
piine  meñ  muñh  banā.e  jā  dil  meñ  maze  uThā.e  jā
joshish-e-chashm-e-ashk-bār  muft  na  rakh  karam  kā  baar
merī  lagī  to  bujh  chukī  apnī  lagī  bujhā.e  jā
manzil-e-be-ḳhudī-e-shauq  hadd-e-nazar  se  duur  hai
pīchhe  palaT  ke  bhī  na  dekh  aage  qadam  baḌhā.e  jā
ik  hama-tan  hai  pā-e-nāz  ik  hama-tan  sar-e-niyāz
ye  to  chalan  jahāñ  kā  hai  jitnā  de  dabā.e  jā
zarf-e-sharāb  tere  paas  zurūf-e-surūr  mere  paas
dil  to  nahīñ  ba-qadr-e-jām  dekh  na  muñh  pilā.e  jā
donoñ  haiñ  nāz-e-dilbarī  zid  meñ  hai  jin  kī  aur  lutf
ek  taraf  lagā.e  jā  ek  taraf  bujhā.e  jā
chāñd  meñ  gum  chakor  ḳhud  chāñd  kahīñ  chhupā  huā
apnī  talāsh  ḳhatm  kar  us  kā  pata  lagā.e  jā
'ārzū'  us  se  kah  do  saaf  ġham  kā  asar  hai  der-pā
jald  hañsī  na  aa.egī  aur  abhī  gudgudā.e  jā