haiñ  des-bides  ek  guzar  aur  basar  meñ
be-ās  ko  kab  chain  milā  hai  kisī  ghar  meñ
chup  maiñ  ne  lagā.ī  to  huā  us  kā  bhī  charchā
jo  bhed  na  khultā  ho  vo  khul  jaatā  hai  Dar  meñ
sūraj  kā  ghamanD  aur  nahīñ  taare  ke  barābar
aisī  hī  to  bāteñ  haiñ  is  andher-nagar  meñ
vo  Tal  nahīñ  saktī  jo  pahuñchne  kī  ghaḌī  hai
chaltā  rahe  galiyoñ  meñ  ki  baiThā  rahe  ghar  meñ
huuk  uTThī  idhar  jī  meñ  udhar  kuuk  uThī  koyal
pūchhe  koī  to  kaun  idhar  meñ  na  udhar  meñ
ai  'ārzū'  āñkhoñ  hī  meñ  kaT  jaate  haiñ  din-rāt
koī  bhī  ghaḌī  chain  kī  hai  āTh-pahr  meñ