Arzoo Lakhnavi

dil mein yaad-e-but-e-be-pir liye baiTha hun

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951

dil meñ yād-e-but-e-be-pīr liye baiThā huuñ

yaanī ik zulm tasvīr liye baiThā huuñ

aah meñ dard tāsīr liye baiThā huuñ

dil meñ ik ḳhuun bharā tiir liye baiThā huuñ

ik zarā ḳhalish-e-dard-e-jigar par ye ghamanD

jaise kul ishq jāgīr liye baiThā huuñ

hai mujhe sāz-e-tarab soḳhta-sāmāni-e-dil

parda-e-ḳhāk meñ iksīr liye baiThā huuñ

chuur shīshe pe nazar paḌte dil yaad aayā

miTne vaale tirī tasvīr liye baiThā huuñ

qaid ko toḌ ke samjhā ki sahārā toḌā

haath meñ paañv zanjīr liye baiThā huuñ

'ārzū' ho chukī sau martaba duniyā bedār

aur maiñ soī huī taqdīr liye baiThā huuñ

Top Urdushayar.com