Arzoo Lakhnavi

jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha

Arzoo Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1873-1951
jitnā thā sargarm-e-kār utnā hī dil nākām thā
hosh jis kā naam hai vo bhī junūn-e-ḳhām thā
hosh kā zāmin thā saaqī kaif-parvar dil kā shauq
jaam thā paas aur be-andesha-e-anjām thā
ḳhatm kartī jald kyūñkar ziist kī manzil ko saañs
pher kosoñ kā thā lekin fāsla ik gaam thā
josh-e-shorīda-sarī thā tā-ba-vahm-e-iḳhtiyār
thak ke dam TuuTā to phir ārām hī ārām thā
ab kahāñ vo āmad-o-raft-e-nafas kī shāh-rāh
ik kashākash thī ki jis kā zindagānī naam thā
chauñk kar ḳhud manzar-e-hastī se āñkheñ pher liiñ
hichkiyāñ kaahe ko thiiñ poshīda ik paiġhām thā
gul huā āḳhir bhaḌak kar sho.ala-e-josh-e-shabāb
thī kaf-e-mauj-e-havādis aur charāġh-e-shām thā
be-jale kis tarah bantā sham.a parvāne kā dil
vo use anjām kyā dete jo merā kaam thā
tum ne ḳhud nākām rakh ke us kī himmat kī thī past
ārzū-e-be-gunah par muft kā ilzām thā
Top Urdushayar.com