jitnā  thā  sargarm-e-kār  utnā  hī  dil  nākām  thā
hosh  jis  kā  naam  hai  vo  bhī  junūn-e-ḳhām  thā
hosh  kā  zāmin  thā  saaqī  kaif-parvar  dil  kā  shauq
jaam  thā  paas  aur  be-andesha-e-anjām  thā
ḳhatm  kartī  jald  kyūñkar  ziist  kī  manzil  ko  saañs
pher  kosoñ  kā  thā  lekin  fāsla  ik  gaam  thā
josh-e-shorīda-sarī  thā  tā-ba-vahm-e-iḳhtiyār
thak  ke  dam  TuuTā  to  phir  ārām  hī  ārām  thā
ab  kahāñ  vo  āmad-o-raft-e-nafas  kī  shāh-rāh
ik  kashākash  thī  ki  jis  kā  zindagānī  naam  thā
chauñk  kar  ḳhud  manzar-e-hastī  se  āñkheñ  pher  liiñ
hichkiyāñ  kaahe  ko  thiiñ  poshīda  ik  paiġhām  thā
gul  huā  āḳhir  bhaḌak  kar  sho.ala-e-josh-e-shabāb
thī  kaf-e-mauj-e-havādis  aur  charāġh-e-shām  thā
be-jale  kis  tarah  bantā  sham.a  parvāne  kā  dil
vo  use  anjām  kyā  dete  jo  merā  kaam  thā
tum  ne  ḳhud  nākām  rakh  ke  us  kī  himmat  kī  thī  past
ārzū-e-be-gunah  par  muft  kā  ilzām  thā