avval-e-shab  vo  bazm  kī  raunaq  sham.a  bhī  thī  parvāna  bhī
raat  ke  āḳhir  hote  hote  ḳhatm  thā  ye  afsāna  bhī
qaid  ko  toḌ  ke  niklā  jab  maiñ  uTh  ke  bagūle  saath  hue
dasht-e-adam  tak  jañgal  jañgal  bhaag  chalā  vīrāna  bhī
haath  se  kis  ne  sāġhar  paTkā  mausam  kī  be-kaifī  par
itnā  barsā  TuuT  ke  bādal  Duub  chalā  mai-ḳhāna  bhī
ek  lagī  ke  do  haiñ  asar  aur  donoñ  hasb-e-marātib  haiñ
lau  jo  lagā.e  sham.a  khaḌī  hai  raqs  meñ  hai  parvāna  bhī
donoñ  jaulāñ-gāh-e-junūñ  haiñ  bastī  kyā  vīrāna  hai
uTh  ke  chalā  jab  koī  bagūlā  dauḌ  paḌā  vīrāna  bhī
ġhunche  chup  haiñ  gul  haiñ  havā  par  kis  se  kahiye  jī  kā  haal
ḳhāk-nashīñ  ik  sabza  hai  so  apnā  bhī  begāna  bhī
husn  o  ishq  kī  laag  meñ  aksar  chheḌ  udhar  se  hotī  hai
sham.a  kā  sho.ala  jab  lahrāyā  uḌ  ke  chalā  parvāna  bhī
ḳhuun  hī  kī  shirkat  vo  na  kyuuñ  ho  shirkat  chiiz  hai  jhagḌe  kī
apnoñ  se  vo  dekh  rahā  huuñ  jo  na  kare  begānā  bhī
daur-e-masarrat  'ārzū'  apnā  kaisā  zalzala-āgīñ  thā
haath  se  muñh  tak  aate  aate  chhūT  paḌā  paimāna  bhī