kis  mast  adā  se  aañkh  laḌī  matvālā  banā  lahrā  ke  girā
aage  to  haiñ  rāheñ  aur  kaThin  dil  pahle  hī  Thokar  khā  ke  girā
aage  jo  baḌhā  tharrā.e  qadam  vo  hañs  jo  diye  sharmā  ke  girā
behosh  nahīñ  hoshyār  thā  maiñ  uThne  kā  sahārā  pā  ke  girā
dil  shauq  ke  josh  meñ  dauḌ  chalā  aur  josh  to  hotā  hai  andhā
dar  band  paḌā  thā  qismat  kā  Takkar  jo  lagī  teyorā  ke  girā
jitnī  bhī  dil  kī  zarūrat  thī  bas  utnī  hī  himmat-o-tāqat  thī
raste  kī  khakheḌeñ  jhel  gayā  paas  aate  hī  maiñ  chakrā  ke  girā
kyā  ishq  kī  manzil  bhī  hai  kaḌī  bañdh  bañdh  kar  himmat  TuuT  ga.ī
jo  ek  qadam  chal  kar  sambhlā  vo  do  qadam  aage  jā  ke  girā
sulgī  huī  hai  ġham  kī  bhaTTī  dil  kyuuñ  na  pighal  ke  bane  paanī
jo  qatra  aañsū  ho  ke  bahā  lahrā  ke  chalā  teyorā  ke  girā
vo  naala  falak  se  Takrāyā  vo  'ārzū'  ik  taarā  TuuTā
dushman  kī  taraf  jo  lapkā  thā  sho.ala  vo  mujhī  par  aa  ke  girā