ārām  ke  the  sāthī  kyā  kyā  jab  vaqt  paḌā  to  koī  nahīñ
sab  dost  haiñ  apne  matlab  ke  duniyā  meñ  kisī  kā  koī  nahīñ
gul-gasht  meñ  dāman  muñh  pe  na  lo  nargis  se  hayā  kyā  hai  tum  ko
us  aañkh  se  parda  karte  ho  jis  aañkh  meñ  pardā  koī  nahīñ
jo  baaġh  thā  kal  phūloñ  se  bharā  aTkheliyoñ  se  chaltī  thī  sabā
ab  sumbul  o  gul  kā  zikr  to  kyā  ḳhaak  uḌtī  hai  us  jā  koī  nahīñ
kal  jin  ko  añdhere  se  thā  hazar  rahtā  thā  charāġhāñ  pesh-e-nazar
ik  sham.a  jalā  de  turbat  par  juz  daaġh  ab  itnā  koī  nahīñ
jab  band  huiiñ  āñkheñ  to  khulā  do  roz  kā  thā  saarā  jhagḌā
taḳht  us  kā  na  ab  hai  taaj  us  kā  askandar  o  daarā  koī  nahīñ
qattāl-e-jahāñ  māshūq  jo  the  suune  paḌe  haiñ  marqad  un  ke
yā  marne  vaale  lākhoñ  the  yā  rone  vaalā  koī  nahīñ
ai  'ārzū'  ab  tak  itnā  patā  chaltā  hai  tirī  barbādī  kā
jis  se  na  bagūle  hoñ  paidā  is  tarah  kā  sahrā  koī  nahīñ