kyuuñ  kisī  rah-rau  se  pūchhūñ  apnī  manzil  kā  patā
mauj-e-dariyā  ḳhud  lagā  letī  hai  sāhil  kā  patā
hai  nishān-e-laila-e-maqsūd  mahmil  kā  patā
dilrubā  haath  aa  gayā  paayā  jahāñ  dil  kā  patā
rāh-e-ulfat  meñ  samajh  lo  dil  ko  gūñgā  rahnumā
saath  hai  aur  de  nahīñ  saktā  hai  manzil  kā  patā
kahtā  hai  nāseh  ki  vāpas  jaao  aur  maiñ  sāda-lauh
pūchhtā  huuñ  ḳhud  usī  se  kū-e-qātil  kā  patā
rāhbar  rahzan  na  ban  jaa.e  kahīñ  is  soch  meñ
chup  khaḌā  huuñ  bhuul  kar  raste  meñ  manzil  kā  patā
aa.ī  ik  āvāz-e-tīr  aur  niklī  dil  se  uf
phir  na  qātil  kā  nishāñ  paayā  na  bismil  kā  patā
bāñkī-chitvan  vaale  mahshar  meñ  hazāroñ  haiñ  to  hoñ
mil  hī  jā.egā  kisī  sūrat  se  qātil  kā  patā
us  jagah  bismil  ne  dam  toḌā  jahāñ  kī  ḳhaak  thī
yuuñ  lagāte  haiñ  lagāne  vaale  manzil  kā  patā
pūchhne  vaale  ne  ye  pūchhā  ki  kyuuñ  be-dil  ho  kyuuñ
aur  mujh  ko  mil  gayā  kho.e  hue  dil  kā  patā
maujeñ  Takrā.ī  huiiñ  dushman  bhī  niklīñ  dost  bhī
pīchhe  kashtī  ko  Dhakelā  de  ke  sāhil  kā  patā
rah  gayā  hai  TuuT  kar  zaḳhm-e-jigar  meñ  tīr-e-nāz
ab  lagā  lenā  nahīñ  dushvār  qātil  kā  patā
soḳhta  parvāne  kushta  sham.a  farsh-e-dāġhdār
de  rahe  haiñ  raat  kī  garmi-e-mahfil  kā  patā
maiñ  vafā-kesh  'ārzū'  aur  vo  vafā-nā-āshnā
paḌ  gayā  mushkil  meñ  pā  kar  apnī  mushkil  kā  patā