ḳhālī  baiThe  kyuuñ  din  kāTeñ  aao  re  jī  ik  kaam  kareñ
vo  to  haiñ  raaja  ham  baneñ  parjā  aur  jhuk  jhuk  ke  salām  kareñ
khul  paḌne  meñ  nākāmī  hai  gum  ho  kar  kuchh  kaam  kareñ
des  purānā  bhes  banā  ho  naam  badal  kar  naam  kareñ
donoñ  jahāñ  meñ  ḳhidmat  terī  ḳhādim  ko  maḳhdūm  banā.e
pariyāñ  jis  ke  paañv  dabā.eñ  hūreñ  jis  kā  kaam  kareñ
hijr  kā  sannāTā  kho  degī  gahmā-gahmī  nāloñ  kī
raat  akele  kyūñkar  kāTeñ  sab  kī  niiñd  harām  kareñ
mere  burā  kahlāne  se  to  achchhe  ban  nahīñ  sakte  aap
baiThe-baiThā.e  ye  kyā  sūjhī  aao  use  badnām  kareñ
dil  kī  ḳhushī  pāband  na  niklī  rasm-o-rivāj-e-ālam  kī
phūloñ  par  to  chain  na  aa.e  kāñToñ  par  ārām  kareñ
aise  hī  kaam  kiyā  kartī  hai  gardish  un  kī  āñkhoñ  kī
shaam  ko  chāhe  sub.h  banā  deñ  sub.h  ko  chāhe  shaam  kareñ
lā-mahdūd  fazā  meñ  phir  kar  had  koī  kyā  Dālegā
puḳhta-kār-e-junūñ  ham  bhī  haiñ  kyuuñ  ye  ḳhayāl-e-ḳhām  kareñ
nām-e-vafā  se  chiḌh  un  ko  aur  'ārzū'  is  ḳhū  se  majbūr
kyūñkar  āḳhir  dil  bahlā.eñ  kis  vahshī  ko  raam  kareñ