dil  de  rahā  thā  jo  use  be-dil  banā  diyā
āsān  kaam  aap  ne  mushkil  banā  diyā
har  saañs  ek  sho.ala  hai  har  sho.ala  ek  barq
kyā  tū  ne  mujh  ko  ai  tapish-e-dil  banā  diyā
is  husn-e-zan  pe  ham-safaroñ  ke  huuñ  pā-ba-gil
mujh  be-ḳhabar  ko  rahbar-e-manzil  banā  diyā
andhā  hai  shauq  phir  nazar  imkān  par  ho  kyuuñ
kaam  apnā  dil  ne  aap  hī  mushkil  banā  diyā
dauḌā  lahū  ragoñ  meñ  bañdhī  zindagī  kī  aas
ye  bhī  burā  nahīñ  hai  jo  bismil  banā  diyā
ġharq  o  ubuur  donoñ  kā  hāsil  hai  ḳhatm-e-kar
majbūriyoñ  ne  mauj  ko  sāhil  banā  diyā
us  shān-e-ājizī  ke  fidā  jis  ne  'ārzū'
har  naaz  har  ġhurūr  ke  qābil  banā  diyā