piyūñ  hī  kyuuñ  jo  burā  jānūñ  aur  chhupā  ke  piyūñ
maiñ  vo  nahīñ  ki  nigāheñ  bachā  bachā  ke  piyūñ
miTā  diye  haiñ  sab  ehsās  uf  re  zauq-e-sharāb
surūr  kam  na  ho  turshī  bhī  gar  milā  ke  piyūñ
gunah  pe  tohmat-e-be-lazzatī  na  rakh  zāhid
maza  na  aa.e  to  kyuuñ  muñh  banā  banā  ke  piyūñ
ye  tishnagī-e-shahādat  kā  iqtizā  ab  hai
ki  āb-e-teġh-e-sitam  zahr  meñ  bujhā  ke  piyūñ
gale  meñ  lagtī  hai  ifrāt-e-shauq  se  phāñsī
paḌe  na  halq  meñ  phandā  to  DagDagā  ke  piyūñ
hai  ek  sāġhar-e-dil  aur  hazār-rañg  kī  mai
na  ho  jo  ghar  meñ  to  bāzār  se  mañgā  ke  piyūñ
bharosa  kar  ke  maiñ  apne  rahīm  par  vaa.iz
maza  to  jab  hai  ki  tujh  ko  jalā  jalā  ke  piyūñ
talab  se  aar  hai  itnī  ki  pyaas  gar  na  bujhe
jigar  ke  ḳhuun  ko  paanī  banā  banā  ke  piyūñ
nigāh-e-shauq  mirī  ruuh  khīñch  letī  hai
nahīñ  vo  riñd  ki  sāġhar  se  muñh  lagā  ke  piyūñ
ye  shai  ki  jis  se  nigāhoñ  ko  rashk  dil  ko  surūr
chhupā  chhupā  ke  uñDelūñ  dikhā  dikhā  ke  piyūñ
gunāhgār  sahī  chor  maiñ  nahīñ  zāhid
hai  ye  bhī  kufr  ki  ka.abe  se  muñh  phirā  ke  piyūñ
na  riñd-e-tañg-nazar  'ārzū'  na  tanhā-ḳhor
jo  zahr  bhī  ho  mayassar  to  maiñ  pilā  ke  piyūñ