mire  josh-e-ġham  kī  hai  ajab  kahānī
kabhī  uThtā  sho.ala  kabhī  bahtā  paanī
hai  ḳhushī  kā  saudā  ḳhalish-e-nihānī
hai  jigar  kā  chhālā  samar-e-javānī
jo  ḳhushī  hai  faanī  to  hai  ġham  bhī  faanī
na  ye  jāvedānī  na  vo  jāvedānī
azalī  mohabbat  abadī  kahānī
ki  pas-e-fanā  hai  na.ī  zindagānī
sitam-o-razā  meñ  ye  hai  ahd-e-mohkam
jo  tirī  kahānī  vo  marī  kahānī
vo  uTheñge  tūfāñ  ki  ḳhudā  bachā.e
ye  na.e  nazāre  ye  bharī  javānī
ye  nigāh  tirchhī  ye  bal  abrūoñ  kā
har  adā  hai  dilkash  magar  imtihānī
mirī  kashti-e-dil  dam-e-āh-o-afġhāñ
kabhī  bādbānī  to  kabhī  dahānī
dar-e-dil  se  palTā  har  ik  aane  vaalā
tirī  yaad  kyā  thī  mirī  pāsbānī
ye  tirā  talavvun  ye  badaltī  chitvan
ajab  ik  balā  hai  ki  hai  nā-gahānī
mirī  kisht-e-dil  par  pa-e-zhāla-bārī
hai  saped  bādal  aqab-e-javānī
kabhī  aarzū  thā  yahī  dāġh-e-hasrat
mujhe  jo  banā  de  tirī  mehrbānī