mirī  nigāh  kahāñ  dīd-e-husn-e-yār  kahāñ
ho  e'tibār  to  phir  tāb-e-intizār  kahāñ
diloñ  meñ  farq  huā  jab  to  chaah  pyaar  kahāñ
chaman  chaman  hī  nahīñ  aa.egī  bahār  kahāñ
jise  ye  kah  ke  vo  hañs  deñ  ki  qissa  achchhā  hai
vo  raaz  khul  ke  bhī  hotā  hai  āshkār  kahāñ
umañg  thī  ye  javānī  kī  yā  koī  āñdhī
milā  ke  ḳhaak  meñ  ham  ko  ga.ī  bahār  kahāñ
umīd-vār  banāne  se  mudda.ā  kyā  thā
jab  aas  tum  ne  dilā  dī  to  ab  qarār  kahāñ
milī  hai  is  liye  do-chār  din  kī  āzādī
ki  sarf  kartā  hai  dekheñ  ye  iḳhtiyār  kahāñ
ye  shauq  le  ke  chalā  hai  chaman  se  shakl-e-nasīm
ki  dekheñ  miltī  hai  jaatī  huī  bahār  kahāñ
hai  ek  shart  vafā  kī  vo  qaid-e-be-zanjīr
sab  iḳhtiyār  haiñ  aur  kuchh  bhī  iḳhtiyār  kahāñ
miTe  nishāñ  pe  nazar  kar  ke  ro  jise  chāhe
tire  sitam  kī  hai  turbat  mirā  mazār  kahāñ
tum  aisā  ahd-shikan  'ārzū'  sā  nā-ummīd
kaho  jo  sach  bhī  to  aatā  hai  e'tibār  kahāñ