gañvā  ke  dil  sā  guhar  dard-e-sar  ḳharīd  liyā
bahut  garāñ  thā  ye  saudā  magar  ḳharīd  liyā
amīn-e-ishq  ne  dil-e-be-ḳhatar  ḳharīd  liyā
ye  aa.ina  ma-e-ā.īna-gar  ḳharīd  liyā
ġhazab  thā  ishq  kā  saudā  ki  ahl-e-hosh  ne  bhī
jo  kuchh  nasīb  thā  sab  bech  kar  ḳharīd  liyā
bhalā  ho  ġham  kī  tunuk-zarfī-e-tabī.at  kā
agarche  baat  gañvā  dī  asar  ḳharīd  liyā
rah-e-razā  meñ  hai  ḳhūnī-kafan  se  shān-e-shahīd
to  jaan  bech  ke  raḳht-e-safar  ḳharīd  liyā
jo  dil  kahe  na  kahūñ  vo  jo  tū  kahe  vo  kahūñ
to  kyā  zamīr  bhī  ai  hīla-gar  ḳharīd  liyā
talāsh-e-aish  meñ  ai  'ārzū'  hai  rañj  hī  rañj
sitam-nasīb  ye  kyā  dard-e-sar  ḳharīd  liyā