us  kī  to  ek  dil-lagī  apnā  banā  ke  chhoḌ  de
jaa.e  vo  ab  kahāñ  jise  sab  se  chhuḌā  ke  chhoḌ  de
khel  nahīñ  hai  bad-gumāñ  qaul-o-qarār  bhūlnā
phir  se  aazmā  ke  dekh  yaad  dilā  ke  chhoḌ  de
nibh  chukā  zindagī  kā  saath  jab  ye  abhī  se  haal  hai
bojh  baTāne  vaalā  hī  biich  meñ  lā  ke  chhoḌ  de
us  se  kaheñ  to  kyā  kaheñ  jis  ke  mizāj  meñ  ye  zid
jab  na  lagī  bujhā  sake  aag  lagā  ke  chhoḌ  de
raah  tavīl  paañv  shal  aur  ye  ham-safar  kā  haal
le  to  chale  sambhāl  ke  biich  meñ  lā  ke  chhoḌ  de