kisī  gumān-o-yaqīñ  kī  had  meñ  vo  shoḳh-e-parda-nashīñ  nahīñ  hai
jahāñ  na  samho  usī  jagah  hai  jahāñ  samajh  lo  vahīñ  nahīñ  hai
tumhārā  va.ada  hai  kaisā  va.ada  ki  jis  kā  dil  ko  yaqīñ  nahīñ  hai
nagīn-e-be-naqsh  to  hazāroñ  ye  naqsh  hai  aur  nagīñ  nahīñ  hai
tasavvuroñ  ke  fareb  uThā  kar  mushāhida  vahm  ban  rahā  hai
nazar  ne  khaa.e  haiñ  itne  dhoke  ki  dekh  kar  bhī  yaqīñ  nahīñ  hai
talavvun  ik  jazr-o-mad  hai  ḳhud  hī  thapeḌoñ  meñ  aa  phañsī  hai  kashtī
ḳhabar  hai  muddat  ke  Duube  dil  kī  ki  aaj  tak  tah-nashīñ  nahīñ  hai
ye  kahtī  hai  gardish-e-zamāna  qadam  thameñge  na  ab  kisī  jā
hai  ye  bhī  ik  āsmāñ  kā  TukḌā  tirī  galī  kī  zamīñ  nahīñ  hai
vafā  kī  haamī  hamiyyat  un  kī  harīf-e-ummīd  ġhairat  un  kī
nigāheñ  iqrār  kar  rahī  haiñ  zabāñ  pe  lekin  nahīñ  nahīñ  hai
huā  jo  ik  dil  kā  daaġh  raushan  to  ho  ga.e  kul  charāġh  raushan
ḳhayāl  raushan  dimāġh  raushan  bas  ab  añdherā  kahīñ  nahīñ  hai
sarishk-e-ḳhūnīñ  kā  kul  fasāna  lapeT  rakhā  hai  ik  varaq  meñ
nichoḌne  par  lahū  na  Tapke  to  āstīñ  āstīñ  nahīñ  hai
hamārī  nākāmī-e-vafā  ne  zamāne  kī  khol  dī  haiñ  āñkheñ
charāġh  kab  kā  bujhā  paḌā  hai  magar  añdherā  kahīñ  nahīñ  hai
mujhī  pe  kyā  hai  nahīñ  hai  kis  meñ  ye  but-tarāshī  ye  but-parastī
agar  na  husn-e-nazar  se  dekho  to  koī  bhī  phir  hasīñ  nahīñ  hai
rah-e-itā.at  meñ  'ārzū'  ne  qadam  qadam  pe  kiye  haiñ  sajde
jo  aap  kā  naqsh-e-pā  nahīñ  hai  vo  us  kā  naqsh-e-jabīñ  nahīñ  hai