har  saañs  hai  ik  naġhma  har  naġhma  hai  mastāna
kis  darja  dukhe  dil  kā  rañgīn  hai  afsāna
jo  kuchh  thā  na  kahne  kā  sab  kah  gayā  dīvāna
samho  to  mukammal  hai  ab  ishq  kā  afsāna
do  zindagiyoñ  kā  hai  chhoTā  sā  ye  afsāna
lahrāyā  jahāñ  sho.ala  andhā  huā  parvāna
in  ras  bharī  ā.ankhoñ  se  mastī  jo  Tapaktī  hai
hotī  hai  nazar  saaqī  dil  bantā  hai  paimāna
vīrāne  meñ  dīvāna  ghar  chhoḌ  ke  aayā  thā
jab  hogā  na  dīvāna  ghar  DhūñDhegā  vīrāna
afsāna  ġham-e-dil  kā  sunñe  ke  nahīñ  qābil
kah  dete  haiñ  sab  hañs  kar  dīvāna  hai  dīvāna
jab  ishq  ke  māroñ  kā  pursāñ  hī  nahīñ  koī
phir  donoñ  barābar  haiñ  bastī  ho  ki  vīrāna
ye  aag  mohabbat  kī  paanī  se  nahīñ  bujhtī
phir  sham.a  se  jā  lipTā  jaltā  huā  parvāna