aane  meñ  jhijhak  milne  meñ  hayā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
ab  ahd-e-vafā  TuuTā  ki  rahā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
be-āp  ḳhushī  se  ek  idhar  kuchh  khoyā  huā  sā  ek  udhar
zāhir  meñ  baham  bātin  meñ  judā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
aa.e  to  ḳhushāmad  se  aa.e  baiThe  to  muravvat  se  baiThe
milnā  hī  ye  kyā  jab  dil  na  milā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
va.ada  bhī  kiyā  to  kī  na  vafā  aatā  hai  tumheñ  charkoñ  meñ  mazā
chhoḌo  bhī  ye  zid  lutf  is  meñ  hai  kyā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
bargashta-nasīb  kā  yuuñ  honā  sonā  bhī  to  ik  karvaT  sonā
kab  tak  ye  judā.ī  kā  ronā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
dil  milne  pe  bhī  pahlū  na  milā  dushman  to  baġhal  hī  meñ  hai  chhupā
qātil  hai  mohabbat  kī  ye  hayā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
yaksūī-e-dil  marġhūb  hameñ  barbādi-e-dil  matlūb  tumheñ
is  zid  kā  hai  aur  anjām  hī  kyā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
dil  se  hai  agar  qaa.em  rishta  to  dūr-o-qarīb  kī  bahs  hī  kyā
hai  ye  bhī  nigāhoñ  kā  dhokā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ
sun  rakkho  qabl-e-ahd-e-vafā  qaul  ārzū-e-shaidā.ī  kā
jannat  bhī  hai  dozaḳh  gar  ye  huā  tum  aur  kahīñ  ham  aur  kahīñ