dil  mukaddar  hai  ā.īna-rū  kā
na  milā  rañg  se  patā  bū  kā
hai  dam-e-sub.h  vo  ḳhumārīñ  aañkh
ek  TuuTā  tilism  jaadū  kā
kam  jo  Thahre  jafā  se  merī  vafā
to  ye  pasañg  hai  tarāzū  kā
dil  kī  bechainiyāñ  ḳhudā  kī  panāh
takiya  haT  haT  gayā  hai  pahlū  kā
kahīñ  jaatī  bahār  ruktī  hai
dāman  aayā  na  haath  meñ  bū  kā
hai  na.ī  qaid  ab  ye  āzādī
zor  TuuTā  huā  hai  baazū  kā
āñdhī  aahoñ  kī  sail  ashkoñ  kī
ab  nahīñ  koī  apne  qaabū  kā
qahqaha  bhartī  hai  surāhī  kyā
zarf  ḳhum  se  sivā  hai  chullū  kā
sotī  qismat  kī  niiñd  uḌāvegā
narm  takiya  kisī  ke  zaanū  kā
ishq-bāzī  hai  jaan  kī  jokham
vahīñ  maarā  paḌā  jahāñ  chūkā
'ārzū'  dil  hai  vaqf-e-bīm-o-umīd
jhilmilātā  charāġh  jugnū  kā