va.ada  sachchā  hai  ki  jhūTā  mujhe  ma.alūm  na  thā
kal  badal  jā.egī  duniyā  mujhe  ma.alūm  na  thā
husn  hai  mashġhala-e-zulm  ko  gahrā  parda
pas-e-parda  hai  añdherā  mujhe  ma.alūm  na  thā
ishq  vo  shai  hai  ki  charke  bhī  maza  dete  haiñ
varna  qātil  haiñ  hasīñ  kyā  mujhe  ma.alūm  na  thā
dil  kī  zid  is  liye  rakh  lī  thī  ki  aa  jaa.e  qarār
kal  ye  kuchh  aur  kahegā  mujhe  ma.alūm  na  thā
jhūTī  ummīdoñ  ne  kyā  kyā  na  hare  baaġh  lagā.e
vaqt  jhoñkā  hai  havā  kā  mujhe  ma.alūm  na  thā
jitne  qismat  ke  sahāre  the  vo  jhūTe  nikle
hai  bañdhī  muTThiyoñ  meñ  kyā  mujhe  ma.alūm  na  thā
barsoñ  bhaTkā  kiyā  aur  phir  bhī  na  un  tak  pahuñchā
ghar  to  ma.alūm  thā  rasta  mujhe  ma.alūm  na  thā
rāz-e-ġham  faash  na  ho  is  liye  rokī  thī  zabāñ
chup  bhī  rah  kar  yahī  hogā  mujhe  ma.alūm  na  thā
dil  maze  letā  hai  jis  ġham  ke  vo  hai  kāhish-e-jāñ
zahr  bhī  hotā  hai  mīThā  mujhe  ma.alūm  na  thā
ishq-ābād  ke  naake  hī  se  ruḳhsat  hue  hosh
hai  ye  dīvānoñ  kī  duniyā  mujhe  ma.alūm  na  thā
hogā  imroz  kī  sūrat  meñ  zuhūr-e-fardā
va.ada  yuuñ  roz  Talegā  mujhe  ma.alūm  na  thā
aarzū  haañ  bhī  hasīnoñ  kī  nahīñ  hotī  hai
in  kī  har  baat  hai  dhokā  mujhe  ma.alūm  na  thā