ma.asūm  nazar  kā  bholā-pan  lalchā  ke  lubhānā  kyā  jaane
dil  aap  nishāna  bantā  hai  vo  tiir  chalānā  kyā  jaane
kah  jaatī  hai  kyā  vo  chīn-e-jabīñ  ye  aaj  samajh  sakte  haiñ  kahīñ
kuchh  sīkhā  huā  to  kaam  nahīñ  dil  naaz  uThānā  kyā  jaane
chaTkī  jo  kalī  koyal  kuukī  ulfat  kī  kahānī  ḳhatm  huī
kyā  kis  ne  kahī  kyā  kis  ne  sunī  ye  batā  zamāna  kyā  jaane
thā  dair-o-haram  meñ  kyā  rakhā  jis  samt  gayā  Takrā  ke  phirā
kis  parde  ke  pīchhe  hai  sho.ala  andhā  parvāna  kyā  jaane
ye  zorā-zorī  ishq  kī  thī  fitrat  hī  jis  ne  badal  Daalī
jaltā  huā  dil  ho  kar  paanī  aañsū  ban  jaanā  kyā  jaane
sajdoñ  se  paḌā  patthar  meñ  gaḌhā  lekin  na  miTā  māthe  kā  likhā
karne  ko  ġharīb  ne  kyā  na  kiyā  taqdīr  banānā  kyā  jaane
āñkhoñ  kī  andhī  ḳhud-ġharzī  kaahe  ko  samajhne  degī  kabhī
jo  niiñd  uḌā  de  rātoñ  kī  vo  ḳhvāb  meñ  aanā  kyā  jaane
patthar  kī  lakīr  hai  naqsh-e-vafā  ā.īna  na  jaano  talvoñ  kā
lahrāyā  kare  rañgīñ-sho.ala  dil  palTe  khānā  kyā  jaane
jis  naale  se  duniyā  bekal  hai  vo  jalte  dil  kī  mash.al  hai
jo  pahlā  luukā  ḳhud  na  sahe  vo  aag  lagānā  kyā  jaane
ham  'ārzū'  aa.e  baiThe  haiñ  aur  vo  sharmā.e  baiThe  haiñ
mushtāq-nazar  gustāḳh  nahīñ  parda  sarkānā  kyā  jaane