jo  dil  saath  chhuTne  se  ghabrā  rahā  hai
vo  chhuTtā  nahīñ  aur  paas  aa  rahā  hai
hamesha  ko  phūle  phalegā  ye  gulshan
abhī  dekhne  ko  to  murjhā  rahā  hai
har  ik  shaam  kahtī  hai  phir  sub.h  hogī
añdhere  meñ  sūraj  nazar  aa  rahā  hai
baḌhī  jā  rahī  hai  agar  dhuup  aage
to  saaya  bhī  dauḌā  chalā  jā  rahā  hai
sitāre  baneñge  chamakdār  aañsū
ye  ronā  hañsī  kī  ḳhabar  lā  rahā  hai
agar  dukh  nahīñ  hai  nahīñ  phir  hai  sukh  bhī
zamāna  ye  pahchān  batlā  rahā  hai
thakan  'ārzū'  kahtī  hai  rāste  kī
ki  ārām  bhī  saath  saath  aa  rahā  hai