yuuñ  duur  duur  dil  se  ho  ho  ke  dil-nashīñ  bhī
haiñ  to  isī  jahāñ  meñ  milte  nahīñ  kahīñ  bhī
kam  ek  qabr  se  hai  mujh  ko  ye  kul  zamīñ  bhī
mar  rahne  kā  Thikānā  miltā  nahīñ  kahīñ  bhī
tūfān-e-bahr  ḳhud  haiñ  baḌhtī  umañgeñ  dil  kī
kashtī  qarār  legī  ho  kar  na  tah-nashīñ  bhī
imkāñ  kī  had  ke  andar  koshish  kī  had  se  bāhar
dil  jis  ko  DhūñDhtā  hai  vo  hai  bhī  aur  nahīñ  bhī
ummīd-e-dil  kī  fitrat  hai  be-niyāz  taskīñ
kam  ho  na  be-qarārī  aa.e  agar  yaqīñ  bhī
bīm-o-rajā  se  dil  meñ  dariyā  kā  jazr-o-mad  hai
sāhil-navāz  maujeñ  aa.iiñ  bhī  aur  ga.iiñ  bhī
ye  multafit  nigāheñ  sheva  viġhā  hai  jin  kā
haiñ  mojib-e-sukūñ  bhī  hañgāma-āfrīñ  bhī
kar  pahle  dil  pe  qaabū  jaame  kī  phir  ḳhabar  le
dāman  bachāne  vaale  jaatī  hai  āstīñ  bhī
ḳhatre  meñ  jaan  jis  se  vo  jaan  se  bhī  pyārā
rañgīñ-ezār  sho.ala  qātil  bhī  hai  hasīñ  bhī
sar-gashta-e-mohabbat  dār-e-mehan  meñ  phir  kar
dekh  aa.e  gosha  gosha  rāhat  nahīñ  kahīñ  bhī
nairañgī-e-talavvun  lā-hal  sā  ik  muamma
samjhe  jo  tere  tevar  paḌh  le  ḳhat-e-jabīñ  bhī
shān-e-ġhurūr  un  kī  tasvīr  ik  ruḳhī  hai
aur  aarzū  kī  nazreñ  shaidā  bhī  haiñ  hasīñ  bhī