jin  rātoñ  meñ  niiñd  uḌ  jaatī  hai  kyā  qahr  kī  rāteñ  hotī  haiñ
darvāzoñ  se  Takrā  jaate  haiñ  dīvāroñ  se  bāteñ  hotī  haiñ
āshob-e-judā.ī  kyā  kahiye  an-honī  bāteñ  hotī  haiñ
ā.ankhoñ  meñ  añdherā  chhātā  hai  jab  ujālī  rāteñ  hotī  haiñ
jab  vo  nahīñ  hote  pahlū  meñ  aur  lambī  rāteñ  hotī  haiñ
yaad  aa  ke  satātī  rahtī  hai  aur  dil  se  bāteñ  hotī  haiñ
ghir  ghir  ke  bādal  aate  haiñ  aur  be-barse  khul  jaate  haiñ
ummīdoñ  kī  jhūTī  duniyā  meñ  sūkhī  barsāteñ  hotī  haiñ
ummīd  kā  sūraj  Duubā  hai  ā.ankhoñ  meñ  añdherā  chhāyā  hai
duniyā-e-firāq  meñ  din  kaisā  rāteñ  hī  rāteñ  hotī  haiñ
tai  karnā  haiñ  jhagḌe  jiine  ke  jis  tarah  bane  kahte  sunte
bahroñ  se  bhī  paalā  paḌtā  hai  gūñgoñ  se  bhī  bāteñ  hotī  haiñ
ā.ankhoñ  meñ  kahāñ  ras  kī  būñdeñ  kuchh  hai  to  lahū  kī  laalī  hai
is  badlī  huī  rut  meñ  ab  to  ḳhūnīñ  barsāteñ  hotī  haiñ
qismat  jaage  to  ham  so.eñ  qismat  so.e  to  ham  jāgeñ
donoñ  hī  ko  niiñd  aa.e  jis  meñ  kab  aisī  rāteñ  hotī  haiñ
jo  kaan  lagā  kar  sunte  haiñ  kyā  jāneñ  rumūz  mohabbat  ke
ab  hoñT  nahīñ  hilne  paate  aur  pahroñ  bāteñ  hotī  haiñ
jo  naaz  hai  vo  apnātā  hai  jo  ġhamza  hai  vo  lubhātā  hai
in  rañg-birañgī  pardoñ  meñ  ghātoñ  par  ghāteñ  hotī  haiñ
hañsne  meñ  jo  aañsū  aate  haiñ  nairañg-e-jahāñ  batlāte  haiñ
har  roz  janāze  jaate  haiñ  har  roz  barāteñ  hotī  haiñ
jo  kuchh  bhī  ḳhushī  se  hotā  hai  ye  dil  kā  bojh  na  ban  jaa.e
paimān-e-vafā  bhī  rahne  do  sab  jhūTī  bāteñ  hotī  haiñ
jab  tak  hai  diloñ  meñ  sachchā.ī  sab  nāz-o-niyāz  vahīñ  tak  haiñ
jab  ḳhud-ġharzī  aa  jaatī  hai  jul  hote  haiñ  ghāteñ  hotī  haiñ
himmat  kis  kī  hai  jo  pūchhe  ye  'ārzū'-e-saudā.ī  se
kyuuñ  sāhab  āḳhir  akele  meñ  ye  kis  se  bāteñ  hotī  haiñ