phir  chāhe  to  na  aanā  o  ān-bān  vaale
jhūTā  hī  va.ada  kar  le  sachchī  zabān  vaale
maujūd  dil  jigar  haiñ  de  abrūoñ  ko  jumbish
dohra  nishāna  bhī  hai  dohrī  kamān  vaale
ye  chupke  chupke  bāteñ  nazreñ  bachā  bachā  kar
rakhte  haiñ  aañkh  ham  bhī  ham  bhī  haiñ  kaan  vaale
kahnā  pate  pate  kī  aur  naam  phir  hañsī  kā
chhuriyāñ  na  bhoñk  dil  meñ  mīThī  zabān  vaale
vo  'ārzū'  sar  apnā  Takrā  rahā  hai  dar  se
nīche  to  dekh  jhuk  kar  ūñche  makān  vaale