ras  un  āñkhoñ  kā  hai  kahne  ko  zarā  sā  paanī
saiñkaḌoñ  Duub  ga.e  phir  bhī  hai  itnā  paanī
aañkh  se  bah  nahīñ  saktā  hai  bharam  kā  paanī
phuuT  bhī  jā.egā  chhālā  to  na  degā  paanī
chaah  meñ  pā.ūñ  kahāñ  aas  kā  mīThā  paanī
pyaas  bhaḌkī  huī  hai  aur  nahīñ  miltā  paanī
dil  se  laukā  jo  uThā  aañkh  se  Tapkā  paanī
aag  se  aaj  nikalte  hue  dekhā  paanī
kis  ne  bhīge  hue  bāloñ  se  ye  jhaTkā  paanī
jhuum  kar  aa.ī  ghaTā  TuuT  ke  barsā  paanī
phailtī  dhuup  kā  hai  ruup  laḌakpan  kā  uThān
dopahar  Dhalte  hī  utregā  ye  chaḌhtā  paanī
TikTikī  bāñdhe  vo  takte  haiñ  maiñ  is  ghaat  meñ  huuñ
kahīñ  khāne  lage  chakkar  na  ye  Thahrā  paanī
koī  matvālī  ghaTā  thī  ki  javānī  kī  umañg
jī  bahā  le  gayā  barsāt  kā  pahlā  paanī
haath  jal  jā.egā  chhālā  na  kaleje  kā  chhuo
aag  muTThī  meñ  dabī  hai  na  samajhnā  paanī
ras  hī  ras  jin  meñ  hai  phir  sail  zarā  sī  bhī  nahīñ
māñgtā  hai  kahīñ  un  āñkhoñ  kā  maarā  paanī
na  satā  us  ko  jo  chup  rah  ke  bhare  ThanDī  saañs
ye  havā  kartī  hai  patthar  kā  kaleja  paanī
ye  pasīna  vahī  aañsū  haiñ  jo  pī  jaate  the  ham
'ārzū'  lo  vo  khulā  bhed  vo  TuuTā  paanī