Dipak Prajapati Khaalis

na puchh dost ki kitna KHarab hota hai

Dipak Prajapati Khaalis

Banaras, Uttar pradesh, India

1997
na pūchh dost kī kitnā ḳharāb hotā hai
bas itnā jaan zamāna ḳharāb hotā hai
ye ishq hai na jo ye dil kī ik ḳharābī hai
ḳharābiyoñ kā natīja ḳharāb hotā hai
ajab mizāj kī duniyā hai ye ki is ke liye
ḳharāb achchhā to achchhā ḳharāb hotā hai
huzūr chhoḌiye ye amn-o-vamn kī bāteñ
siyāsī logoñ kā dhandā ḳharāb hotā hai
koī kisī bhī samay jhaT se toḌ saktā hai
umiid sab se lagānā ḳharāb hotā hai
sharāb paisa anā ḳhvāb ishq yā ki suḳhan
kisī bhī shai kā ho nashsha ḳharāb hotā hai
udaas mat ho miyāñ hai ye imtihān-e-zīst
is imtihān meñ parcha ḳharāb hotā hai
Top Urdushayar.com