Murli Dhar Shad

kab miTae se miTa ranj-o-suubat ka asar

Murli Dhar Shad

kab miTā.e se miTā ranj-o-su.ūbat kā asar
hai vatan meñ bhī mire chehre pe ġhurbat kā asar
ho chalā ishq-e-majāzī pe haqīqat kā asar
aa chalā mujh ko nazar kasrat meñ vahdat kā asar
saarī duniyā se nahīñ mujh se faqat bezār the
aur is se baḌh ke kyā hotā mohabbat kā asar
be-vafā un kā laqab hai bā-vafā merā ḳhitāb
vo hai tīnat kī ḳharābī ye hai ulfat kā asar
mo.ajiza dekhā tasavvur kā to āñkheñ khul ga.iiñ
pā rahā huuñ aaj maiñ jalvat meñ ḳhalvat kā asar
vo parī se huur ban jaate yaqīnī baat thī
un kī sīrat par agar paḌ jaatā sūrat kā asar
un pe dil hī aa gayā le hī ga.e vo merā dil
ye taqāzā husn kā thā vo sharārat kā asar
ik jagah rahtā na thā Tik kar ye aadat thī mirī
khīñch laayā ḳhuld tak ab mujh ko vahshat kā asar
ḳhair se milte jo bad-ḳhūnī hai chehre se ayaañ
ye masal sach hai ki ho jaatā hai sohbat kā asar
aap kyā the ho ga.e kyā faiz se ustād ke
dekh liije 'shād' ye hotā hai nisbat kā asar
Top Urdushayar.com