abdurrahman momin

yaqin kaun karega guman pe aaya hun

abdurrahman momin

Pakistan

1996

yaqīn kaun karegā gumāñ pe aayā huuñ

maiñ apne aap se chhup kar yahāñ pe aayā huuñ

mujhe bhī aql pareshān kartī rahtī hai

nahīñ nahīñ se guzar kar maiñ haañ pe aayā huuñ

mujhe vo dekh ke hairān kyuuñ nahīñ hogā

zamīn oḌh ke maiñ āsmāñ pe aayā huuñ

ye baat batā kis tarah batā.ūñ tujhe

maiñ dil ke rāste terī zabāñ pe aayā huuñ

na jaane kab se nahīñ mil sakā huuñ maiñ ḳhud se

maiñ ḳhud se milne tire āstāñ pe aayā huuñ

ye iztirāb haqīqat meñ iztirāb nahīñ

ḳhushī ḳhushī maiñ is āh-o-fuġhāñ pe aayā huuñ

mujhe talāsh na kar yahāñ vahāñ 'momin'

nazar uThā ki tire ḳhvāb-dāñ pe aayā huuñ

Top Urdushayar.com