abdurrahman momin

waqt sakin hai main guzar raha hun

abdurrahman momin

Pakistan

1996
vaqt sākin hai maiñ guzar rahā huuñ
maiñ to is āgahī se mar rahā huuñ
bol kar jo mujhe dabā rahā hai
us kī āvāz se ubhar rahā huuñ
aa.ina mujh ko dekh kar chup hai
jaane maiñ kis se baat kar rahā huuñ
maiñ ye samjhā thā vo Thahar rahā hai
ve ye samjhā thā maiñ Thahar rahā huuñ
ik parinda banāyā kāġhaz par
aur ab us ke par katar rahā huuñ
us ne va.ada nahīñ liyā mujh se
aur kahtā hai maiñ mukar rahā huuñ
terī tasvīr nā-mukammal hai
maiñ abhī is meñ rañg bhar rahā huuñ
jo tujhe jāntā nahīñ 'momin'
vo samajhtā hai tujh se Dar rahā huuñ
Top Urdushayar.com