āñkheñ  churā  ke  ham  se  bahār  aa.e  ye  nahīñ
hisse  meñ  apne  sirf  ġhubār  aa.e  ye  nahīñ
kū-e-ġham-e-hayāt  meñ  sab  umr  kaaT  dī
thoḌā  sā  vaqt  vaañ  bhī  guzār  aa.e  ye  nahīñ
ḳhud  ishq  qurb-e-jism  bhī  hai  qurb-e-jāñ  ke  saath
ham  duur  hī  se  un  ko  pukār  aa.e  ye  nahīñ
āñkhoñ  meñ  dil  khule  hoñ  to  mausam  kī  qaid  kyā
fasl-e-bahār  hī  meñ  bahār  aa.e  ye  nahīñ
ab  kyā  kareñ  ki  husn  jahāñ  hai  aziiz  hai
tere  sivā  kisī  pe  na  pyaar  aa.e  ye  nahīñ
va.adoñ  ko  ḳhūn-e-dil  se  likho  tab  to  baat  hai
kāġhaz  pe  qismatoñ  ko  sañvār  aa.e  ye  nahīñ
kuchh  roz  aur  kal  kī  muravvat  meñ  kaaT  leñ
dil  ko  yaqīn-e-va.ada-e-yār  aa.e  ye  nahīñ