vo  ham  se  aaj  bhī  dāman-kashāñ  chale  hai  miyāñ
kisī  pe  zor  hamārā  kahāñ  chale  hai  miyāñ
jahāñ  bhī  thak  ke  koī  kārvāñ  Thahartā  hai
vahīñ  se  ek  nayā  kārvāñ  chale  hai  miyāñ
jo  ek  samt  gumāñ  hai  to  ek  samt  yaqīñ
ye  zindagī  to  yūñhī  darmiyāñ  chale  hai  miyāñ
badalte  rahte  haiñ  bas  naam  aur  to  kyā  hai
hazāroñ  saal  se  ik  dāstāñ  chale  hai  miyāñ
har  ik  qadam  hai  na.ī  āzmā.ishoñ  kā  hujūm
tamām  umr  koī  imtihāñ  chale  hai  miyāñ
vahīñ  pe  ghūmte  rahnā  to  koī  baat  nahīñ
zamīñ  chale  hai  to  aage  kahāñ  chale  hai  miyāñ
vo  ek  lamha-e-hairat  ki  lafz  saath  na  deñ
nahīñ  chale  hai  na  aise  meñ  haañ  chale  hai  miyāñ