jism  kī  har  baat  hai  āvārgī  ye  mat  kaho
ham  bhī  kar  sakte  haiñ  aisī  shā.erī  ye  mat  kaho
us  nazar  kī  us  badan  kī  gungunāhaT  to  suno
ek  sī  hotī  hai  har  ik  rāgnī  ye  mat  kaho
ham  se  dīvānoñ  ke  bin  duniyā  sañvartī  kis  tarah
aql  ke  aage  hai  kyā  dīvāngī  ye  mat  kaho
kaT  sakī  haiñ  aaj  tak  sone  kī  zanjīreñ  kahāñ
ham  bhī  ab  āzād  haiñ  yaaro  abhī  ye  mat  kaho
paañv  itne  tez  haiñ  uThte  nazar  aate  nahīñ
aaj  thak  kar  rah  gayā  hai  aadmī  ye  mat  kaho
jitne  va.ade  kal  the  utne  aaj  bhī  maujūd  haiñ
un  ke  va.adoñ  meñ  huī  hai  kuchh  kamī  ye  mat  kaho
dil  meñ  apne  dard  kī  chhiTkī  huī  hai  chāñdnī
har  taraf  phailī  huī  hai  tīrgī  ye  mat  kaho