achchhā  hai  un  se  koī  taqāzā  kiyā  na  jaa.e
apnī  nazar  meñ  aap  ko  rusvā  kiyā  na  jaa.e
ham  haiñ  tirā  ḳhayāl  hai  terā  jamāl  hai
ik  pal  bhī  apne  aap  ko  tanhā  kiyā  na  jaa.e
uThne  ko  uTh  to  jaa.eñ  tirī  anjuman  se  ham
par  terī  anjuman  ko  bhī  suunā  kiyā  na  jaa.e
un  kī  ravish  judā  hai  hamārī  ravish  judā
ham  se  to  baat  baat  pe  jhagḌā  kiyā  na  jaa.e
har-chand  e'tibār  meñ  dhoke  bhī  haiñ  magar
ye  to  nahīñ  kisī  pe  bharosā  kiyā  na  jaa.e
lahja  banā  ke  baat  kareñ  un  ke  sāmne
ham  se  to  is  tarah  kā  tamāshā  kiyā  na  jaa.e
in.aam  ho  ḳhitāb  ho  vaise  mile  kahāñ
jab  tak  sifārishoñ  ko  ikaTThā  kiyā  na  jaa.e
is  vaqt  ham  se  pūchh  na  ġham  rozgār  ke
ham  se  har  ek  ghūñT  ko  kaḌvā  kiyā  na  jaa.e