ham  ne  kaaTī  haiñ  tirī  yaad  meñ  rāteñ  aksar
dil  se  guzrī  haiñ  sitāroñ  kī  barāteñ  aksar
aur  to  kaun  hai  jo  mujh  ko  tasallī  detā
haath  rakh  detī  haiñ  dil  par  tirī  bāteñ  aksar
husn  shā.ista-e-tahzīb-e-alam  hai  shāyad
ġham-zada  lagtī  haiñ  kyuuñ  chāñdnī  rāteñ  aksar
haal  kahnā  hai  kisī  se  to  muḳhātab  hai  koī
kitnī  dilchasp  huā  kartī  haiñ  bāteñ  aksar
ishq  rahzan  na  sahī  ishq  ke  hāthoñ  phir  bhī
ham  ne  luTtī  huī  dekhī  haiñ  barateñ  aksar
ham  se  ik  baar  bhī  jiitā  hai  na  jītegā  koī
vo  to  ham  jaan  ke  khā  lete  haiñ  māteñ  aksar
un  se  pūchho  kabhī  chehre  bhī  paḌhe  haiñ  tum  ne
jo  kitāboñ  kī  kiyā  karte  haiñ  bāteñ  aksar
ham  ne  un  tund-havāoñ  meñ  jalā.e  haiñ  charāġh
jin  havāoñ  ne  ulaT  dī  haiñ  bisāteñ  aksar